jab  ā.īna  koī  dekho  ik  ajnabī  dekho
kahāñ  pe  laa.ī  hai  tum  ko  ye  zindagī  dekho
mohabbatoñ  meñ  kahāñ  apne  vāste  fursat
jise  bhī  chāhe  vo  chāhe  mirī  ḳhushī  dekho
jo  ho  sake  to  ziyāda  hī  chāhnā  mujh  ko
kabhī  jo  merī  mohabbat  meñ  kuchh  kamī  dekho
jo  duur  jaa.e  to  ġham  hai  jo  paas  aa.e  to  dard
na  jaane  kyā  hai  vo  kambaḳht  aadmī  dekho
ujālā  to  nahīñ  kah  sakte  is  ko  ham  lekin
zarā  sī  kam  to  huī  hai  ye  tīrgī  dekho