hañste  hue  hurūf  meñ  jis  ko  adā  karūñ
bachchoñ  se  kis  jahāñ  kī  kahānī  kahā  karūñ
yā  rab  azāb-e-harf-o-taḳhaiyyul  se  de  najāt
ġhazleñ  kahā  karūñ  na  mazāmīñ  likhā  karūñ
qadmoñ  meñ  kis  ke  Daal  duuñ  ye  naam  ye  nasab
kuchh  to  batāo  kis  kā  qasīda  paḌhā  karūñ
ab  tak  to  apne  aap  se  pīchhā  na  chhuT  sakā
mumkin  hai  kal  se  aap  ke  haq  meñ  duā  karūñ
kitnī  na.ī  zabān  ho  kaisā  nayā  suḳhan
is  ahd  ko  to  dekh  luuñ  'ġhālib'  ko  kyā  karūñ
'shahpar'  mirī  hadoñ  kā  ta.ayyun  kare  koī
āñkhoñ  se  bah  rahūñ  ki  ragoñ  meñ  phirā  karūñ