ye  tasallī  hai  ki  haiñ  nāshād  sab
maiñ  akelā  hī  nahīñ  barbād  sab
sab  kī  ḳhātir  haiñ  yahāñ  sab  ajnabī
aur  kahne  ko  haiñ  ghar  ābād  sab
bhuul  ke  sab  ranjisheñ  sab  ek  haiñ
maiñ  batā.ūñ  sab  ko  hogā  yaad  sab
sab  ko  da.avā-e-vafā  sab  ko  yaqīñ
is  adākārī  meñ  haiñ  ustād  sab
shahr  ke  hākim  kā  ye  farmān  hai
qaid  meñ  kahlā.eñge  āzād  sab
chaar  lafzoñ  meñ  kaho  jo  bhī  kaho
us  ko  kab  fursat  sune  fariyād  sab
talḳhiyāñ  kaise  na  huuñ  ash.ār  meñ
ham  pe  jo  guzrī  hameñ  hai  yaad  sab