ba-zāhir  kyā  hai  jo  hāsil  nahīñ  hai
magar  ye  to  mirī  manzil  nahīñ  hai
ye  tuuda  ret  kā  hai  beach  dariyā
ye  bah  jā.egā  ye  sāhil  nahīñ  hai
bahut  āsān  hai  pahchān  us  kī
agar  dukhtā  nahīñ  to  dil  nahīñ  hai
musāfir  vo  ajab  hai  kārvāñ  meñ
ki  jo  hamrāh  hai  shāmil  nahīñ  hai
bas  ik  maqtūl  hī  maqtūl  kab  hai
bas  ik  qātil  hī  to  qātil  nahīñ  hai
kabhī  to  raat  ko  tum  raat  kah  do
ye  kaam  itnā  bhī  ab  mushkil  nahīñ  hai