pyaas  kī  kaise  laa.e  taab  koī
nahīñ  dariyā  to  ho  sarāb  koī
zaḳhm-e-dil  meñ  jahāñ  mahaktā  hai
isī  kyārī  meñ  thā  gulāb  koī
raat  bajtī  thī  duur  shahnā.ī
royā  pī  kar  bahut  sharāb  koī
dil  ko  ghere  haiñ  rozgār  ke  ġham
raddī  meñ  kho  ga.ī  kitāb  koī
kaun  sā  zaḳhm  kis  ne  baḳhshā  hai
is  kā  rakkhe  kahāñ  hisāb  koī
phir  maiñ  sunñe  lagā  huuñ  is  dil  kī
aane  vaalā  hai  phir  azaab  koī
shab  kī  dahlīz  par  shafaq  hai  lahū
phir  huā  qatl  āftāb  koī