ham  ne  DhūñDeñ  bhī  to  DhūñDeñ  haiñ  sahāre  kaise
in  sarāboñ  pe  koī  umr  guzāre  kaise
haath  ko  haath  nahīñ  sūjhe  vo  tārīkī  thī
aa  ga.e  haath  meñ  kyā  jaane  sitāre  kaise
har  taraf  shor  usī  naam  kā  hai  duniyā  meñ
koī  us  ko  jo  pukāre  to  pukāre  kaise
dil  bujhā  jitne  the  armān  sabhī  ḳhaak  hue
raakh  meñ  phir  ye  chamakte  haiñ  sharāre  kaise
na  to  dam  letī  hai  tū  aur  na  havā  thamtī  hai
zindagī  zulf  tirī  koī  sañvāre  kaise