Javed Akhtar

shahr ke dukan-daro karobar-e-ulfat mein sud kya ziyan kya hai tum na jaan paoge

Javed Akhtar

Sitapur, Uttar pradesh, India

1945
shahr ke dukāñ-dāro kārobār-e-ulfat meñ suud kyā ziyāñ kyā hai tum na jaan pāoge
dil ke daam kitne haiñ ḳhvāb kitne mahñge haiñ aur naqd-e-jāñ kyā hai tum na jaan pāoge
koī kaise miltā hai phuul kaise khiltā hai aañkh kaise jhuktī hai saañs kaise ruktī hai
kaise rah nikaltī hai kaise baat chaltī hai shauq kī zabāñ kyā hai tum na jaan pāoge
vasl kā sukūñ kyā hai hijr kā junūñ kyā hai husn kā fusūñ kyā hai ishq kā darūñ kyā hai
tum marīz-e-dānā.ī maslahat ke shaidā.ī rāh-e-gum-rahāñ kyā hai tum na jaan pāoge
zaḳhm kaise phalte haiñ daaġh kaise jalte haiñ dard kaise hotā hai koī kaise rotā hai
ashk kyā hai naale kyā dasht kyā hai chhāle kyā aah kyā fuġhāñ kyā hai tum na jaan pāoge
nā-murād dil kaise sub.h-o-shām karte haiñ kaise zinda rahte haiñ aur kaise marte haiñ
tum ko kab nazar aa.ī ġham-zadoñ kī tanhā.ī ziist be-amāñ kyā hai tum na jaan pāoge
jāntā huuñ maiñ tum ko zauq-e-shā.erī bhī hai shaḳhsiyat sajāne meñ ik ye māhrī bhī hai
phir bhī harf chunte ho sirf lafz sunte ho un ke darmiyāñ kyā hai tum na jaan pāoge
Top Urdushayar.com