shahr  ke  dukāñ-dāro  kārobār-e-ulfat  meñ  suud  kyā  ziyāñ  kyā  hai  tum  na  jaan  pāoge
dil  ke  daam  kitne  haiñ  ḳhvāb  kitne  mahñge  haiñ  aur  naqd-e-jāñ  kyā  hai  tum  na  jaan  pāoge
koī  kaise  miltā  hai  phuul  kaise  khiltā  hai  aañkh  kaise  jhuktī  hai  saañs  kaise  ruktī  hai
kaise  rah  nikaltī  hai  kaise  baat  chaltī  hai  shauq  kī  zabāñ  kyā  hai  tum  na  jaan  pāoge
vasl  kā  sukūñ  kyā  hai  hijr  kā  junūñ  kyā  hai  husn  kā  fusūñ  kyā  hai  ishq  kā  darūñ  kyā  hai
tum  marīz-e-dānā.ī  maslahat  ke  shaidā.ī  rāh-e-gum-rahāñ  kyā  hai  tum  na  jaan  pāoge
zaḳhm  kaise  phalte  haiñ  daaġh  kaise  jalte  haiñ  dard  kaise  hotā  hai  koī  kaise  rotā  hai
ashk  kyā  hai  naale  kyā  dasht  kyā  hai  chhāle  kyā  aah  kyā  fuġhāñ  kyā  hai  tum  na  jaan  pāoge
nā-murād  dil  kaise  sub.h-o-shām  karte  haiñ  kaise  zinda  rahte  haiñ  aur  kaise  marte  haiñ
tum  ko  kab  nazar  aa.ī  ġham-zadoñ  kī  tanhā.ī  ziist  be-amāñ  kyā  hai  tum  na  jaan  pāoge
jāntā  huuñ  maiñ  tum  ko  zauq-e-shā.erī  bhī  hai  shaḳhsiyat  sajāne  meñ  ik  ye  māhrī  bhī  hai
phir  bhī  harf  chunte  ho  sirf  lafz  sunte  ho  un  ke  darmiyāñ  kyā  hai  tum  na  jaan  pāoge