abhī  zamīr  meñ  thoḌī  sī  jaan  baaqī  hai
abhī  hamārā  koī  imtihān  baaqī  hai
hamāre  ghar  ko  to  ujḌe  hue  zamāna  huā
magar  sunā  hai  abhī  vo  makān  baaqī  hai
hamārī  un  se  jo  thī  guftugū  vo  ḳhatm  huī
magar  sukūt  sā  kuchh  darmiyān  baaqī  hai
hamāre  zehn  kī  bastī  meñ  aag  aisī  lagī
ki  jo  thā  ḳhaak  huā  ik  dukān  baaqī  hai
vo  zaḳhm  bhar  gayā  arsa  huā  magar  ab  tak
zarā  sā  dard  zarā  sā  nishān  baaqī  hai
zarā  sī  baat  jo  phailī  to  dāstān  banī
vo  baat  ḳhatm  huī  dāstān  baaqī  hai
ab  aayā  tiir  chalāne  kā  fan  to  kyā  aayā
hamāre  haath  meñ  ḳhālī  kamān  baaqī  hai