zindagī  kī  āñdhī  meñ  zehn  kā  shajar  tanhā
tum  se  kuchh  sahārā  thā  aaj  huuñ  magar  tanhā
zaḳhm-ḳhurda  lamhoñ  ko  maslahat  sambhāle  hai
an-ginat  marīzoñ  meñ  ek  chāragar  tanhā
buuñd  jab  thī  bādal  meñ  zindagī  thī  halchal  meñ
qaid  ab  sadaf  meñ  hai  ban  ke  hai  guhar  tanhā
tum  fuzūl  bātoñ  kā  dil  pe  bojh  mat  lenā
ham  to  ḳhair  kar  leñge  zindagī  basar  tanhā
ik  khilaunā  jogī  se  kho  gayā  thā  bachpan  meñ
DhūñDtā  phirā  us  ko  vo  nagar  nagar  tanhā
jhuTpuTe  kā  aalam  hai  jaane  kaun  aadam  hai
ik  lahad  pe  rotā  hai  muñh  ko  Dhāñp  kar  tanhā