maiñ  pā  sakā  na  kabhī  is  ḳhalish  se  chhuTkārā
vo  mujh  se  jiit  bhī  saktā  thā  jaane  kyuuñ  haarā
baras  ke  khul  ga.e  aañsū  nithar  ga.ī  hai  fazā
chamak  rahā  hai  sar-e-shām  dard  kā  taarā
kisī  kī  aañkh  se  Tapkā  thā  ik  amānat  hai
mirī  hathelī  pe  rakkhā  huā  ye  añgārā
jo  par  sameTe  to  ik  shāḳh  bhī  nahīñ  paa.ī
khule  the  par  to  mirā  āsmān  thā  saarā
vo  saañp  chhoḌ  de  Dasnā  ye  maiñ  bhī  kahtā  huuñ
magar  na  chhoḌeñge  log  us  ko  gar  na  phunkārā