ġham  hote  haiñ  jahāñ  zehānat  hotī  hai
duniyā  meñ  har  shai  kī  qīmat  hotī  hai
akasr  vo  kahte  haiñ  vo  bas  mere  haiñ
akasr  kyuuñ  kahte  haiñ  hairat  hotī  hai
tab  ham  donoñ  vaqt  churā  kar  laate  the
ab  milte  haiñ  jab  bhī  fursat  hotī  hai
apnī  mahbūba  meñ  apnī  maañ  dekheñ
bin  maañ  ke  laḌkoñ  kī  fitrat  hotī  hai
ik  kashtī  meñ  ek  qadam  hī  rakhte  haiñ
kuchh  logoñ  kī  aisī  aadat  hotī  hai