dast-bardār  agar  aap  ġhazab  se  ho  jaa.eñ
har  sitam  bhuul  ke  ham  aap  ke  ab  se  ho  jaa.eñ
chaudhvīñ  shab  hai  to  khiḌkī  ke  girā  do  parde
kaun  jaane  ki  vo  nārāz  hī  shab  se  ho  jaa.eñ
ek  ḳhushbū  kī  tarah  phailte  haiñ  mahfil  meñ
aise  alfāz  adā  jo  tire  lab  se  ho  jaa.eñ
na  koī  ishq  hai  baaqī  na  koī  parcham  hai
log  dīvāne  bhalā  kis  ke  sabab  se  ho  jaa.eñ
bāñdh  lo  haath  ki  phaileñ  na  kisī  ke  aage
sī  lo  ye  lab  ki  kahīñ  vo  na  talab  se  ho  jaa.eñ
baat  to  chheḌ  mire  dil  koī  qissa  to  sunā
kyā  ajab  un  ke  bhī  jazbāt  ajab  se  ho  jaa.eñ