shukr  hai  ḳhairiyat  se  huuñ  sāhab
aap  se  aur  kyā  kahūñ  sāhab
ab  samajhne  lagā  huuñ  sūd-o-ziyāñ
ab  kahāñ  mujh  meñ  vo  junūñ  sāhab
zillat-e-zīst  yā  shikast-e-zamīr
ye  sahūñ  maiñ  ki  vo  sahūñ  sāhab
ham  tumheñ  yaad  karte  ro  lete
do-ghaḌī  miltā  jo  sukūñ  sāhab
shaam  bhī  Dhal  rahī  hai  ghar  bhī  hai  duur
kitnī  der  aur  maiñ  rukūñ  sāhab
ab  jhukūñgā  to  TuuT  jā.ūñgā
kaise  ab  aur  maiñ  jhukūñ  sāhab
kuchh  rivāyāt  kī  gavāhī  par
kitnā  jurmāna  maiñ  bharūñ  sāhab