hamāre  shauq  kī  ye  intihā  thī
qadam  rakkhā  ki  manzil  rāstā  thī
bichhaḌ  ke  Daar  se  ban  ban  phirā  vo
hiran  ko  apnī  kastūrī  sazā  thī
kabhī  jo  ḳhvāb  thā  vo  pā  liyā  hai
magar  jo  kho  ga.ī  vo  chiiz  kyā  thī
maiñ  bachpan  meñ  khilaune  toḌtā  thā
mire  anjām  kī  vo  ibtidā  thī
mohabbat  mar  ga.ī  mujh  ko  bhī  ġham  hai
mire  achchhe  dinoñ  kī  āshnā  thī
jise  chhū  luuñ  maiñ  vo  ho  jaa.e  sonā
tujhe  dekhā  to  jaanā  bad-duā  thī
marīz-e-ḳhvāb  ko  to  ab  shifā  hai
magar  duniyā  baḌī  kaḌvī  davā  thī