jidhar  jaate  haiñ  sab  jaanā  udhar  achchhā  nahīñ  lagtā
mujhe  pāmāl  rastoñ  kā  safar  achchhā  nahīñ  lagtā
ġhalat  bātoñ  ko  ḳhāmoshī  se  sunñā  haamī  bhar  lenā
bahut  haiñ  fā.ede  is  meñ  magar  achchhā  nahīñ  lagtā
mujhe  dushman  se  bhī  ḳhuddārī  kī  ummīd  rahtī  hai
kisī  kā  bhī  ho  sar  qadmoñ  meñ  sar  achchhā  nahīñ  lagtā
bulandī  par  unheñ  miTTī  kī  ḳhushbū  tak  nahīñ  aatī
ye  vo  shāḳheñ  haiñ  jin  ko  ab  shajar  achchhā  nahīñ  lagtā
ye  kyuuñ  baaqī  rahe  ātish-zano  ye  bhī  jalā  Daalo
ki  sab  be-ghar  hoñ  aur  merā  ho  ghar  achchhā  nahīñ  lagtā