sūkhī  Tahnī  tanhā  chiḌiyā  phīkā  chāñd
āñkhoñ  ke  sahrā  meñ  ek  namī  kā  chāñd
us  māthe  ko  chūme  kitne  din  biite
jis  māthe  kī  ḳhātir  thā  ik  Tiikā  chāñd
pahle  tū  lagtī  thī  kitnī  begāna
kitnā  mub.ham  hotā  hai  pahlī  kā  chāñd
kam  ho  kaise  in  ḳhushiyoñ  se  terā  ġham
lahroñ  meñ  kab  bahtā  hai  naddī  kā  chāñd
aao  ab  ham  is  ke  bhī  TukḌe  kar  leñ
Dhāka  rāvalpinDī  aur  dillī  kā  chāñd