na  ḳhushī  de  to  kuchh  dilāsa  de
dost  jaise  ho  mujh  ko  bahlā  de
āgahī  se  milī  hai  tanhā.ī
aa  mirī  jaan  mujh  ko  dhoka  de
ab  to  takmīl  kī  bhī  shart  nahīñ
zindagī  ab  to  ik  tamannā  de
ai  safar  itnā  rā.egāñ  to  na  jā
na  ho  manzil  kahīñ  to  pahuñchā  de
tark  karnā  hai  gar  ta.alluq  to
ḳhud  na  jā  tū  kisī  se  kahlā  de