yaqīn  kā  agar  koī  bhī  silsila  nahīñ  rahā
to  shukr  kījiye  ki  ab  koī  gilā  nahīñ  rahā
na  hijr  hai  na  vasl  hai  ab  is  ko  koī  kyā  kahe
ki  phuul  shāḳh  par  to  hai  magar  khilā  nahīñ  rahā
ḳhazāna  tum  na  paa.e  to  ġharīb  jaise  ho  ga.e
palak  pe  ab  koī  bhī  motī  jhilmilā  nahīñ  rahā
badal  ga.ī  hai  zindagī  badal  ga.e  haiñ  log  bhī
ḳhulūs  kā  jo  thā  kabhī  vo  ab  silā  nahīñ  rahā
jo  dushmanī  baḳhīl  se  huī  to  itnī  ḳhair  hai
ki  zahr  us  ke  paas  hai  magar  pilā  nahīñ  rahā
lahū  meñ  jazb  ho  sakā  na  ilm  to  ye  haal  hai
koī  savāl  zehn  ko  jo  de  jalā  nahīñ  rahā