jiinā  mushkil  hai  ki  āsān  zarā  dekh  to  lo
log  lagte  haiñ  pareshān  zarā  dekh  to  lo
phir  muqarrir  koī  sargarm  sar-e-mimbar  hai
kis  ke  hai  qatl  kā  sāmān  zarā  dekh  to  lo
ye  nayā  shahar  to  hai  ḳhuub  basāyā  tum  ne
kyuuñ  purānā  huā  vīrān  zarā  dekh  to  lo
in  charāġhoñ  ke  tale  aise  añdhere  kyuuñ  hai
tum  bhī  rah  jāoge  hairān  zarā  dekh  to  lo
tum  ye  kahte  ho  ki  maiñ  ġhair  huuñ  phir  bhī  shāyad
nikal  aa.e  koī  pahchān  zarā  dekh  to  lo
ye  satā.ish  kī  tamannā  ye  sile  kī  parvāh
kahāñ  laa.e  haiñ  ye  armān  zarā  dekh  to  lo