Kishwar Naheed

aaghosh-e-gul mein lazzat-e-sohbat nahin rahi

Kishwar Naheed

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1940
āġhosh-e-gul meñ lazzat-e-sohbat nahīñ rahī
kis se kahūñ ki qaus-e-mohabbat nahīñ rahī
maujūd huuñ bisāt-e-tamannā ke dasht meñ
pahlū meñ ābrū-e-hazīmat nahīñ rahī
dekhā use to qarz-e-vafā yaad aa gayā
bātoñ meñ us kī ḳhū-e-irādat nahīñ rahī
maiñ bhuul ke bhī us kī galī meñ na jā.ūñgī
pahchāntī huuñ dil meñ muravvat nahīñ rahī
shāmoñ ke saa.e DhūñDne nikle the kal yahīñ
kahte haiñ aaj ishq kī mohlat nahīñ rahī
bikhre hue haiñ lafz bhī nauhagarī kahāñ
dil meñ havā-e-ḳhalvat-o-jalvat nahīñ rahī
ab bas karo ki āñkhoñ meñ paanī nahīñ rahā
is zindagī meñ ab koī tohmat nahīñ rahī
Top Urdushayar.com