sach  ye  hai  be-kār  hameñ  ġham  hotā  hai
jo  chāhā  thā  duniyā  meñ  kam  hotā  hai
Dhaltā  sūraj  phailā  jañgal  rasta  gum
ham  se  pūchho  kaisā  aalam  hotā  hai
ġhairoñ  ko  kab  fursat  hai  dukh  dene  kī
jab  hotā  hai  koī  hamdam  hotā  hai
zaḳhm  to  ham  ne  in  āñkhoñ  se  dekhe  haiñ
logoñ  se  sunte  haiñ  marham  hotā  hai
zehn  kī  shāḳhoñ  par  ash.ār  aa  jaate  haiñ
jab  terī  yādoñ  kā  mausam  hotā  hai