yahī  hālāt  ibtidā  se  rahe
log  ham  se  ḳhafā  ḳhafā  se  rahe
in  charāġhoñ  meñ  tel  hī  kam  thā
kyuuñ  gila  ham  ko  phir  havā  se  rahe
bahs  shatranj  sher  mausīqī
tum  nahīñ  the  to  ye  dilāse  rahe
zindagī  kī  sharāb  māñgte  ho
ham  ko  dekho  ki  pī  ke  pyāse  rahe
us  ke  bandoñ  ko  dekh  kar  kahiye
ham  ko  ummīd  kyā  ḳhudā  se  rahe