Manzar Saleem

nakaam hi dil jo rahna tha nakaam raha achchha hi hua

Manzar Saleem

1925-1996
nākām hī dil jo rahnā thā nākām rahā achchhā hī huā
ab kiije kisī kā shikva kyā jo kuchh bhī huā achchhā hī huā
kuchh manzil kā ġham baḌh jaatā kuchh rāheñ mushkil ho jātīñ
is taptī dhuup meñ zulfoñ kā saaya na milā achchhā hī huā
ab rāh-e-vafā ke patthar ko ham phuul nahīñ samjheñge kabhī
pahle hī qadam par Thes lagī dil TuuT gayā achchhā hī huā
do chaar ghaḌī hañs-bol ke ham barsoñ ḳhuuñ ke aañsū rote
do chaar ghaḌī bhī bazm-e-tarab meñ jī na lagā achchhā hī huā
in jaadū karne vāloñ ke kuchh bhed samajh meñ aa to ga.e
dil pyaar ke pīchhe pāgal thā nākām rahā achchhā hī huā
do ghūñT se apnī tishna-labī kyā kam hotī kyuuñ kam hotī
chhalkā huā sāġhar hāthoñ se gir kar TuuTā achchhā hī huā
har vaqt ḳhizāñ ke jhoñkoñ se Darte rahte ham bhī 'manzar'
siine meñ kabhī armānoñ kā ġhuncha na khilā achchhā hī huā
Top Urdushayar.com