dil  kī  bastī  pe  kisī  dard  kā  saaya  bhī  nahīñ
aisā  vīrānī  kā  mausam  kabhī  aayā  bhī  nahīñ
ham  kisī  aur  hī  aalam  meñ  rahā  karte  haiñ
ahl-e-duniyā  ne  jahāñ  aake  satāyā  bhī  nahīñ
ham  pe  is  ālam-e-tāza  meñ  guzartī  kyā  hai
tum  ne  pūchhā  bhī  nahīñ  ham  ne  batāyā  bhī  nahīñ
kab  se  huuñ  ġharq  kisī  jhiil  kī  gahrā.ī  meñ
rāz-e-ayyām  magar  aql  ne  paayā  bhī  nahīñ
be-zamīnī  kā  ye  dukh  aur  zamīñ  bhī  apnī
bebasī  aisī  ki  nukta  ye  uThāyā  bhī  nahīñ
be-jihat  uThte  hue  Thokareñ  khāte  ye  qadam
rāhbar  merā  mujhe  raah  pe  laayā  bhī  nahīñ
us  ne  hamdardī  ke  paimāñ  to  bahut  bāñdhe  the
aa  paḌī  hai  to  mirā  haath  baTāyā  bhī  nahīñ
dil  kī  dīvāroñ  se  lipTī  hai  kisī  shaam  kī  yaad
jaane  vaalā  to  kabhī  lauT  ke  aayā  bhī  nahīñ
sard-mehrī  ki  jigar  chhalnī  kiye  detī  hai
us  ne  yuuñ  dekhne  meñ  haath  chhuḌāyā  bhī  nahīñ
us  se  ummīd-e-vafā  bāñdh  rakhī  hai  'shāhid'
jis  ne  ye  baar  mohabbat  kā  uThāyā  bhī  nahīñ