huuñ  kis  maqām  pe  dil  meñ  tire  ḳhabar  na  lage
tire  salīqa-e-guftār  ko  nazar  na  lage
ghirā  huā  thā  tū  kuchh  nāgavār  logoñ  meñ
malāl  ye  hai  ki  us  vaqt  ham  ko  par  na  lage
asīr-e-qarya-e-vahshat  huuñ  ek  muddat  se
ḳhirad  kī  raah  kisī  taur  mo'tabar  na  lage
makāñ  vahī  hai  par  us  kā  makīn  kyā  uTThā
sahar  bhī  ho  to  vo  pahlī  sī  ab  sahar  na  lage
akelī  shaam  khaḌī  thī  udaas  jañgal  meñ
tuyūr  bā-ḳhabar  o  āshnā-shajar  na  lage
sazā-e-jazba  o  ehsās-e-jāñ  ke  saath  rahī
vo  rog  rog  hī  kyā  hai  jo  umr  bhar  na  lage
bajā  hai  ḳhvāb-navardī  pa  ḳhvāb  aaise  hoñ
khule  jo  aañkh  to  apnā  hī  ghar  khañDar  na  lage
jo  bā-kamāloñ  kī  tauqīr  kam  kare  'shāhid'
hamāre  haath  koī  aisā  bhī  hunar  na  lage