firāq  o  vasl  se  haT  kar  koī  rishta  hamārā  ho
baġhair  us  ke  bhī  shāyad  zindagī  ham  ko  gavārā  ho
nikal  aa.e  jo  ham  ghar  se  to  sau  raste  nikal  aa.e
abas  thā  sochnā  ghar  meñ  koī  ġhaibī  ishāra  ho
na  is  Dhab  kī  bhī  zulmat  ho  ki  sab  mil  kar  duā  māñgeñ
koī  jugnū  hī  aa  nikle  na  gar  koī  sitāra  ho
ziyāñ  kī  zad  pe  duniyā  meñ  ka.ī  log  aur  bhī  hoñge
to  phir  ai  nā-murādī  tū  mire  ġham  kā  sahārā  ho
taqābul  kasrat  o  qillat  kā  kuchh  ma.anī  nahīñ  rakhtā
añdherā  chiir  kar  nikle  agarche  ik  sharāra  ho
purāne  ġham  tire  to  juzv-e-jāñ  ham  ne  banā  Daale
bisāt-e-dil  kī  ḳhvāhish  hai  na.e  ġham  kā  utārā  ho
fasīl-e-shahr  pe  raushan  agar  hoñ  husn  kī  sham.eñ
to  ik  ik  lafz  'shāhid'  raushnī  kā  isti.āra  ho