aag  ko  phuul  kahe  jaa.eñ  ḳhirad-mand  apne
aur  āñkhoñ  pe  rakheñ  diid  ke  dar  band  apne
laakh  chāhā  ki  ġham-o-fikr-e-jahāñ  se  chhūTeñ
jāma-e-dil  pe  ye  sajte  rahe  paivand  apne
shahr  meñ  dhuum  machātī  rahī  kyā  taaza  havā
ham  ne  dar  vā  na  kiyā  ham  haiñ  gila-mand  apne
sat.h-e-qirtās  pe  utre  na  tirī  gul-badanī
kitne  aajiz  hue  jaate  haiñ  hunar-mand  apne
marhala  tai  na  huā  ahl-e-tazabzub  se  koī
jurm-e-tashkīk  se  baiThe  rahe  pāband  apne
aisā  kuchh  gardish-e-daurāñ  ne  rakhā  hai  masrūf
mājare  ho  na  sake  ham  se  qalam-band  apne
ham  to  mar  jaate  ġham-e-hijr  ke  hāthoñ  'shāhid'
dasht  āfāq  meñ  hote  na  agar  chand  apne