mehrbāñ  koī  nazar  aa.e  to  samjhūñ  tū  hai
phuul  mahkeñ  to  ye  jānoñ  ki  tirī  ḳhushbū  hai
aql  taslīm  nahīñ  kartī  pe  dil  māntā  hai
vo  koī  mo.ajaza  hai  vahm  hai  yā  jaadū  hai
ab  tirā  zikr  kareñge  na  tujhe  yaad  kabhī
haañ  magar  dil  ke  dhaḌakne  pe  kise  qaabū  hai
kuchh  mizāj  apnā  hī  begāna  huā  jaatā  hai
varna  us  shaḳhs  kī  to  narm-ravī  kī  ḳhū  hai
ġham  rag-o-pai  meñ  utartā  hai  lahū  kī  sūrat
dard  palkoñ  pe  laraztā  huā  ik  aañsū  hai
aaj  kuchh  rañg  digar  hai  mire  ghar  kā  'ḳhālid'
sochtā  huuñ  ye  tirī  yaad  hai  yā  ḳhud  tū  hai