pūchhte  kyā  ho  jo  hāl-e-shab-e-tanhā.ī  thā
ruḳhsat-e-sabr  thī  yā  tark-e-shakebā.ī  thā
shab-e-furqat  meñ  dil-e-ġham-zada  bhī  paas  na  thā
vo  bhī  kyā  raat  thī  kyā  ālam-e-tanhā.ī  thā
maiñ  thā  yā  dīda-e-ḳhūñ-nāba-fishānī  shab-e-hijr
un  ko  vaañ  mashġhala-e-anjuman-ārā.ī  thā
pāra-hā-e-dil-e-ḳhūnīñ  kī  talab  thī  paiham
shab  jo  ā.ankhoñ  meñ  mirī  zauq-e-ḳhud-ārā.ī  thā
rahm  to  ek  taraf  pāya-shanāsī  dekho
qais  ko  kahte  haiñ  majnūn  thā  sahrā.ī  thā
āñhkeñ  qātil  sahī  par  zinda  jo  karnā  hotā
lab  pe  ai  jaan  tū  e.ajāz  masīhā.ī  thā
ḳhuun  ro  ro  diye  bas  do  hī  qadam  meñ  chhāle
yaañ  vahī  hausla-e-bādiya-paimā.ī  thā
dushman-e-jāñ  the  udhar  hijr  meñ  dard-o-ġham-o-rañj
aur  idhar  ek  akelā  tirā  shaidā.ī  thā
uñgliyāñ  uThtī  thiiñ  mizhgāñ  kī  usī  ruḳh  paiham
jis  taraf  bazm  meñ  vo  kāfir-e-tarsā.ī  thā
kaun  is  raah  se  guzrā  hai  ki  har  naqsh-e-qadam
chashm-e-āshiq  kī  tarah  us  kā  tamāshā.ī  thā
ḳhuub  vaqt  aa.e  nakīrain  jazā  degā  ḳhudā
lahd-e-tīra  meñ  bhī  kyā  ālam-e-tanhā.ī  thā
ham  ne  bhī  hazrat-'shiblī'  kī  ziyārat  kī  thī
yuuñ  to  zāhir  meñ  muqaddas  thā  pa  shaidā.ī  thā