yaar  ko  raġhbat-e-aġhyār  na  hone  paa.e
gul-e-tar  ko  havas-e-ḳhār  na  hone  paa.e
us  meñ  dar-parda  samajhte  haiñ  vo  apnā  hī  gila
shikva-e-charḳh  bhī  zinhār  na  hone  paa.e
fitna-e-hashr  jo  aanā  to  dabe  paañv  zarā
baḳht-e-ḳhufta  mirā  bedār  na  hone  paa.e
haa.e  dil  khol  ke  kuchh  kah  na  sake  soz-e-darūñ
aable  ham-suḳhan-e-ḳhār  na  hone  paa.e
baaġh  kī  sair  ko  jaate  to  ho  par  yaad  rahe
sabza  begāna  hai  do-chār  na  hone  paa.e
jam.a  kar  lījiye  ġhamzoñ  ko  magar  ḳhūbī-e-bazm
bas  vahīñ  tak  hai  ki  bāzār  na  hone  paa.e
aap  jaate  to  haiñ  is  bazm  meñ  lekin  'shiblī'
hāl-e-dil  dekhiye  iz.hār  na  hone  paa.e