Zubair Qaisar

jo tera rang tha us rang se na kah paya

Zubair Qaisar

1975
jo terā rañg thā us rañg se na kah paayā
maiñ dil kī baat kabhī Dhañg se na kah paayā
kisī ḳhayāl meñ tartīb koī thī hī nahīñ
so sher koī bhī āhañg se na kah paayā
briādrī ke kisī faisle ne bāñdh diyā
maiñ dil kī baat mirī mañg se na kah paayā
shahīd hone se pahle use bhī dekhnā thā
magar ye baat use jañg se na kah paayā
ajiib sī koī ḳhvāhish thī TūTne kī 'zubair'
maiñ ā.īna thā magar sañg se na kah paayā
Top Urdushayar.com