tiis  din  ke  liye  tark-e-mai-o-sāqī  kar  luuñ
vā.iz-e-sāda  ko  rozoñ  meñ  to  raazī  kar  luuñ
pheñk  dene  kī  koī  chiiz  nahīñ  fazl-o-kamāl
varna  hāsid  tirī  ḳhātir  se  maiñ  ye  bhī  kar  luuñ
ai  nakīrain  qayāmat  hī  pe  rakkho  pursish
maiñ  zarā  umr-e-guzishta  kī  talāfī  kar  luuñ
kuchh  to  ho  chāra-e-ġham  baat  to  yak  ho  jaa.e
tum  ḳhafā  ho  to  ajal  hī  ko  maiñ  raazī  kar  luuñ
aur  phir  kis  ko  pasand  aa.egā  vīrāna-e-dil
ġham  se  maanā  bhī  ki  is  ghar  ko  maiñ  ḳhālī  kar  luuñ
jaur-e-gardūñ  se  jo  marne  kī  bhī  fursat  mil  jaa.e
imtihān-e-dam-e-jāñ-parvar-e-īsī  kar  luuñ
dil  hī  miltā  nahīñ  sifloñ  se  vagarna  'shiblī'
ḳhuub  guzre  falak-e-dūñ  se  jo  yaarī  kar  luuñ