asar  ke  pīchhe  dil-e-hazīñ  ne  nishān  chhoḌā  na  phir  kahīñ  kā
ga.e  haiñ  naale  jo  sū-e-gardūñ  to  ashk  ne  ruḳh  kiyā  zamīñ  kā
bhalī  thī  taqdīr  yā  burī  thī  ye  raaz  kis  tarah  se  ayaañ  ho
butoñ  ko  sajde  kiye  haiñ  itne  ki  miT  gayā  sab  likhā  jabīñ  kā
vahī  laḌakpan  kī  shoḳhiyāñ  haiñ  vo  aglī  hī  sahī  sharārteñ  haiñ
siyāne  hoñge  to  haañ  bhī  hogī  abhī  to  san  hai  nahīñ  nahīñ  kā
ye  nazm-e-ā.īñ  ye  tarz-e-bandish  suḳhanvarī  hai  fusūñ-garī  hai
ki  reḳhta  meñ  bhī  tere  'shiblī'  maza  hai  tarz-e-'alī-hazīñ'  kā