Ali Akbar Abbas

apne naKHun apne chehre par KHarashen de gae

Ali Akbar Abbas

1948
apne nāḳhun apne chehre par ḳharāsheñ de ga.e
ghar ke darvāze pe kuchh bhūke sadā.eñ de ga.e
jāgte logoñ ne shab-māroñ kī jab chalne na dī
din chaḌhe vo raushnī ko bad-duā.eñ de ga.e
ḳhud hī apne haath kaaTe aur āñhkeñ phoḌ liiñ
devtāoñ ko pujārī kiyā sazā.eñ de ga.e
ek apnī zaat ke nuqte ko markaz maan kar
hausloñ ke zāviye behad ḳhalā.eñ de ga.e
tez tūfānoñ ne sāhil rauñd Daale the magar
jab vo Takrā.e pahāḌoñ se ghaTā.eñ de ga.e
Top Urdushayar.com