zabān  chup  hai  magar  zehn  ro  rahā  hai  lahū
ki  jīte-jāgte  logoñ  kā  so  rahā  hai  lahū
tamām  umr  milā  zahr  is  tasalsul  se
ki  apne-āp  meñ  tiryāk  ho  rahā  hai  lahū
ragoñ  meñ  utrī  hai  jo  shai  vo  nā-muvāfiq  hai
ki  saare  jism  meñ  kāñTe  se  bo  rahā  hai  lahū
bas  ek  dā.ere  meñ  raqs  kar  rahe  haiñ  havās
ḳhayāl  hai  ki  bagūla  bilo  rahā  hai  lahū
har  ek  lahza  utartī  kasāfateñ  mujh  meñ
aur  ek  gardish-e-paiham  meñ  dho  rahā  hai  lahū
koī  kumak  to  mile  ab  mudāfa.at  ke  liye
vagarna  rañg  kī  tāqat  bhī  kho  rahā  hai  lahū