shuā.eñ  aise  mire  jism  se  guzartī  ga.iiñ
lahū  meñ  jaise  mire  kirchiyāñ  utartī  ga.iiñ
na  jaane  chehre  huuñ  ā.inda  nasl  ke  kaise
bas  ek  ḳhauf  se  merī  rageñ  sikuḌtī  ga.iiñ
mujhe  to  lagte  haiñ  nāḳhun  bhī  apne  zahar  bujhe
mere  liye  to  mirī  uñgliyāñ  bhī  martī  ga.iiñ
jazīre  kitne  garāñ  pāniyoñ  kī  god  meñ  haiñ
panāh  ke  liye  socheñ  mirī  bikhartī  ga.iiñ
ye  gardishoñ  kā  tavāzun  bigaḌ  na  jaa.e  kahīñ
isī  tarah  jo  zamīñ  kī  taheñ  udhaḌtī  ga.iiñ
ḳhalā  hayāt  ke  imkāñ  se  to  nahīñ  aarī
pa  justujūeñ  kuchh  apnī  hī  maañd  paḌtī  ga.iiñ