pesh  har  ahd  ko  ik  teġh  kā  imkāñ  kyuuñ  hai
har  nayā  daur  na.e  ḳhauf  meñ  ġhaltāñ  kyuuñ  hai
shahr  ke  shahr  hī  behosh  paḌe  pūchhte  haiñ
zindagī  apne  amal-dāroñ  se  nālāñ  kyuuñ  hai
aa.ina  aks  mo.attal  to  nahīñ  kartā  kabhī
itnā  be-āb  magar  ā.īna-e-jāñ  kyuuñ  hai
phir  se  matlūb-e-ḳhalā.iq  hai  gavāhī  koī
bar-sar-e-koh-e-siyah  shola-e-larzāñ  kyuuñ  hai
ye  amal  hai  ḳhas-o-ḳhāshāk  kī  chhidrā.ī  kā
rañg-e-rañgīn-e-gul-o-lāla  pareshāñ  kyuuñ  hai