añdherī  bastiyāñ  raushan  manāre  Duub  jā.eñge
zamīñ  rotī  rahī  to  shahr  saare  Duub  jā.eñge
jhulas  deñgī  jo  sahrā.ī  havā.eñ  reshmī  saa.e
dhueñ  ke  zahr  meñ  rañgīñ  nazāre  Duub  jā.eñge
abhī  se  kashtiyāñ  sab  sāhiloñ  kī  samt  ruḳh  moḌeñ
ki  jab  tūfān  aayā  phir  ishāre  Duub  jā.eñge
baḌhegī  un  kī  lau  koī  agar  sīñche  harārat  se
barastī  barf  meñ  saare  sharāre  Duub  jā.eñge
yūñhī  palte  rahe  gar  hasht-pā  is  jhiil  kī  tah  meñ
kisī  din  sat.h  par  hañste  shikāre  Duub  jā.eñge
fareb-e-māh-o-anjum  se  nikal  jaa.eñ  to  achchhā  hai
zarā  sūraj  ne  karvaT  lī  ye  taare  Duub  jā.eñge
chaTānoñ  par  kareñ  kanda  nishānī  apne  hone  kī
sunahre  kāġhazoñ  ke  goshvāre  Duub  jā.eñge