Sanaullah Zaheer

teri shikast ka elan to nahin karenge

Sanaullah Zaheer

Shahkot, Punjab, India

1964

tirī shikast elaan to nahīñ kareñge

jo terā kaam hai darbān to nahīñ kareñge

siyāh-rāt ke āñgan meñ kuud kar ham log

diye jalā.eñge nuqsān to nahīñ kareñge

maiñ apnī zaat hairat-sarā se guzrā huuñ

ye tajarbe mujhe hairān to nahīñ kareñge

ye Thiik hai ki zarūrī hai kār-girya bhī

magar ye hijr ke daurān to nahīñ kareñge

ye sochnā thā tumheñ dā.ere banāte hue

ye pech tum ko pareshān to nahīñ kareñge

'zahīr' us ragoñ ko lahū pilā kar ham

zamīn par koī ehsān to nahīñ kareñge

Top Urdushayar.com