Sanaullah Zaheer

tishnagi bhi hai yahi aur yahi pani bhi

Sanaullah Zaheer

Shahkot, Punjab, India

1964
tishnagī bhī hai yahī aur yahī paanī bhī
maar detī hai mohabbat kī farāvānī bhī
itnā khul kar bhī mire raaz nihāñ haiñ mujh se
saat pardoñ kī tarah hai mujhe uryānī bhī
chhoḌ kar tujh ko tirī yaad ko apnānā hai
is liye chehre pe raunaq bhī hai vīrānī bhī
aks ā.īne se bāhar paḌā rah jaatā hai
chhoḌ jaatī hai kisī moḌ pe hairānī bhī
dil mire dil ġham-e-duniyā se nipaT le ki abhī
tujhe karnī hai na.e zaḳhm kī mehmānī bhī
zindagī tujh ko basar karnā bahut mushkil hai
kar rahe haiñ ki milegī kabhī āsānī bhī
Top Urdushayar.com