hamārā  maqsad  agar  safar  hai  tavīl  karnā
shumār  aise  meñ  kis  liye  sañg-e-mīl  karnā
agar  mohabbat  ke  case  meñ  ho  hamārī  peshī
hamārī  maano  to  apne  dil  ko  vakīl  karnā
hamāre  ghar  meñ  jidhar  se  nafrat  kā  dāḳhila  hai
bahut  zarūrī  hai  aise  rastoñ  ko  seel  karnā
diloñ  ke  rishte  ko  ek  sāzish  kā  naam  de  kar
hai  un  kā  maqsad  mohabbatoñ  ko  zalīl  karnā
hameñ  pata  hai  tumheñ  jo  ye  sab  sikhā  rahā  hai
agar  suno  sach  to  pesh  jhūTī  dalīl  karnā