khule  meñ  chhoḌ  rakhā  hai  magar  salīqe  se
bañdhe  hue  haiñ  parindoñ  ke  par  salīqe  se
hamīñ  pe  farz  nahīñ  sirf  haq  paḌosī  kā
tumheñ  bhī  chāhiye  rahnā  udhar  salīqe  se
kabhī  se  hālat-e-bīmār-e-dil  sambhal  jaatī
ilaaj  karte  agar  chāra-gar  salīqe  se
hamāre  chāhne  vaale  bahut  hī  nāzuk  haiñ
hamārī  maut  kī  denā  ḳhabar  salīqe  se
bahut  sī  mushkileñ  haa.el  haiñ  raah  meñ  lekin
tamām  umr  kiyā  hai  safar  salīqe  se