dil  kā  saarā  ghor  añdherā  duur  huā
kis  kā  hai  ye  nuur  jo  maiñ  pur-nūr  huā
zaḳhm  risā  phir  zaḳhm-e-dil  nāsūr  huā
rafta  rafta  jaise  bhāgalpūr  huā
yuuñ  to  ham  ne  qisse  likkhe  rañgā-rañg
lekin  ġham  kā  qissa  hī  mash.hūr  huā
paanī  paanī  chīḳh  rahā  thā  pyāsā  dil
shahr-e-sitam  kā  kaisā  ye  dastūr  huā
kaisā  mulk-shor  bapā  hai  ḳheme  meñ
āñkheñ  suunī  dil  kā  shīsha  chuur  huā
ab  ke  mausam  sadiyoñ  kā  tahzībī  rañg
ḳhatm  huā  barbād  huā  kāfūr  huā
shahr  meñ  tere  kis  se  gilā  phir  karte  ham
'aḳhtar'  jab  apnā  hī  saaya  duur  huā