koī  markaz  se  alag  hai  koī  mehvar  se  alag
aadmī  ḳhud  ho  gayā  hai  apne  paikar  se  alag
kitne  ḳhānoñ  meñ  baTā  hai  ahd-e-nau  kā  aadmī
koī  bāhar  se  judā  hai  koī  andar  se  alag
be-libāsī  ke  sivā  ab  kuchh  nazar  aatā  nahīñ
is  qadar  hai  jism  ḳhuddārī  kī  chādar  se  alag
dāġh-e-dil  kashmīr  kā  gujrāt  kā  dil  dardnāk
hādisa  koī  kahāñ  hai  chhe  december  se  alag
band  thiiñ  almāriyoñ  meñ  chāhatoñ  kī  fileñ
kis  ne  kī  'aḳhtar'  ye  dastāvez  daftar  se  alag