tere  mere  ghar  kī  hālat  bāhar  kuchh  aur  andar  kuchh
jaise  ho  phūloñ  kī  rañgat  bāhar  kuchh  aur  andar  kuchh
bāhar  bāhar  ḳhāmoshī  hai  andar  andar  hañgāma
kaisī  hai  ye  jism  kī  hiddat  bāhar  kuchh  aur  andar  kuchh
lafz  hai  kuchh  aur  ma.anī  kuchh  har  misre  meñ  fankār  hai  ġham
aise  vaise  sher  kī  lazzat  bāhar  kuchh  aur  andar  kuchh
kyuuñ  na  aañkh  meñ  aañsū  aa.e  kyuuñ  na  dil  ko  choT  lage
apne  apne  des  kī  hālat  bāhar  kuchh  aur  andar  kuchh
koī  na  shāyad  jaan  sakegā  sūraj  kī  matvālī  chaal
shahr  meñ  kyuuñ  hai  dhuup  kī  shiddat  bāhar  kuchh  aur  andar  kuchh
gahrī  nazar  vāloñ  meñ  'aḳhtar'  raushan  hai  pahchān  alag
phir  bhī  kyuuñ  hai  aap  kī  izzat  bāhar  kuchh  aur  andar  kuchh