maiñ huuñ merī chashm-e-tar hai raat hai tanhā.ī hai
dard merā ham-safar hai raat hai tanhā.ī hai
jugnuoñ se saath chalne kī guzārish kījiye
hijr kā lambā safar hai raat hai tanhā.ī hai
phir vahī yādeñ vahī aañsū vahī āh-o-fuġhāñ
phir vahī dīvār-o-dar hai raat hai tanhā.ī hai
dostoñ kī bhiiḌ ko masrūfiyat meñ kho diyā
aaj fursat baam par hai raat hai tanhā.ī hai
tujh ko paane ke junūñ meñ ham vahāñ tak aa ga.e
ḳhud ko ab khone kā Dar hai raat hai tanhā.ī hai