maiñ  huuñ  merī  chashm-e-tar  hai  raat  hai  tanhā.ī  hai
dard  merā  ham-safar  hai  raat  hai  tanhā.ī  hai
jugnuoñ  se  saath  chalne  kī  guzārish  kījiye
hijr  kā  lambā  safar  hai  raat  hai  tanhā.ī  hai
phir  vahī  yādeñ  vahī  aañsū  vahī  āh-o-fuġhāñ
phir  vahī  dīvār-o-dar  hai  raat  hai  tanhā.ī  hai
dostoñ  kī  bhiiḌ  ko  masrūfiyat  meñ  kho  diyā
aaj  fursat  baam  par  hai  raat  hai  tanhā.ī  hai
tujh  ko  paane  ke  junūñ  meñ  ham  vahāñ  tak  aa  ga.e
ḳhud  ko  ab  khone  kā  Dar  hai  raat  hai  tanhā.ī  hai