Ata ul Haq Qasmi
Amritsar, Punjab, India
1943thoḌī sī is taraf bhī nazar honī chāhiye
ye zindagī to mujh se basar honī chāhiye
aa.e haiñ log raat kī dahlīz phāñd kar
un ke liye naved-e-sahar honī chāhiye
is darja pārsā.ī se ghaTne lagā hai dam
maiñ huuñ bashar ḳhatā-e-bashar honī chāhiye
vo jāntā nahīñ to batānā fuzūl hai
us ko mire ġhamoñ kī ḳhabar honī chāhiye