tum kisī taur kisī shakl nahīñ kar sakte
is zamīñ se mujhe be-daḳhl nahīñ kar sakte
Thiik hai aap mirī jaan to le sakte haiñ
merī āvāz magar qatl nahīñ kar sakte
tujh ko nuqsān to pahuñchānā bahut duur kī baat
terī tasvīr ko bad-shakl nahīñ kar sakte
sher kahne kā salīqa hai bahut ba.ad kī baat
Thiik se ham to abhī naql nahīñ kar sakte
aise hālāt meñ ham dil ko talab karte haiñ
faisla rakh ke jahāñ aql nahīñ kar sakte